Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Jalaal ud Deen Kabirul Aulia

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ka ism e graami Mohammad bin Mahmood Deen Rahmatullah Alayh  tha lekin pairo murshid ki taraf se Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh   ka khatab mila tha. Aap ka silsila e nasb chand waston se Hazrat Usman Ghanni Razi AllahTala Anhu  se ja milta hai. Aap barray sahib e karamat buzurag thay. Shariat , tareqat, haqeeqat aur maarfat ke  aloom mein apna sani nah rakhtay thay. Khatay peetay gharane mein peda hue thay be daregh paisa kharch karte thay .

Hazrat Sheikh Sharf  ud Deen Rahmatullah Alayh   Bu Ali Qalandar Rahmatullah Alayh aap ko bohat Aziz rakhtay thay. Bachpan hi mein woh aap ko dekhnay ke  liye rozana aap ke  ghar aaya karte thay. aap ke  yateem honay ke  baad aap ki parwarish aap ke  chacha ne apne zimmay le le. Aik dafaa Hazrat Bu Ali Qalandar Rahmatullah Alayh  Aik aam guzargah par ronaqe Afroz thay kay aap ghoray par sawaar wahan se guzray. Hazrat  Bu Ali Qalandar Rahmatullah Alayh   Ne aap ko dekh kar farmaya kay aisa khush qismat ghora aur kaisa khush qismat sawaar hai. Yeh suntay hi aap par wajad ki keafiyat taari ho gayi. Garibaan chaak kya aur jungle ki raah le. Chalees saal aap ne isi terhan safar mein guzaar diye. Bohat se se milay aur unkay fayooz se mustafeed hue. aap ne doo Hajj bhi kiye .

Jab aap sair o siyahat se wapas aaye to Hazrat Bu Ali Qalandar Rahmatullah Alayh   se baet hona chahtay thay magar  Bu Ali Qalandar Rahmatullah Alayh farmatay thay kay jaldi nah karo thehro tumahray peer anay walay hain. Aik din Hazrat Shams ud Deen Rahmatullah Alayh   apne hujray ke  darwazay par ronaqe afroz thay. aap libaas e fakhira pehnay aap ke  samnay se guzray Hazrat Shams  ud Deen Rahmatullah Alayh   ne farmaya apni nemat is larke  ki peshani par taban daikhta hon. Yuhin aap ki nazar Hazrat Shams  ud Deen Rahmatullah Alayh   par pari foran  be inkhtiyaar ho kar aap ke  qadmon mein gir parre. Hazrat Shams  ud Deen Rahmatullah Alayh  ne  aap ka sar uthaya aur kullah Charmi jo is waqt aap pehnay hue thay utaar kar apne haath se aap ke  sar par rakhi aur farmaya. Mein ne tujh ko yeh bhi diya woh bhi diya. Yeh ke h kar aap ne isi waqt aap ko apna mureed kar liya. Hazrat Shams ud Deen Rahmatullah Alayh   ne umar e aakhir mein aap ko Khirqah khilafat se nawaza aur apna janasheen banaya .

Aik roz Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh ko  kashaf  se Hazrat Makhdum Jahanian Jahangasht Rahmatullah Alayh  ki bemari ka ilm howa. Aap ba qoat e rohani aik saaat mein Dehli puhanche. Jab Hazrat Makhdum Jahanian Jahangasht Rahmatullah Alayh  ko haalat e nazaa mein paaya to apni umar ke  das saal inhen day diye aur phir aik saaat mein Panipat se  wapas lout aaye. Jab Makhdum Jahanian Jahangasht Rahmatullah Alayh   sehat yab hue to Sultan feroz  ud Deen Rahmatullah Alayh   aap ki khidmat mein mizaaj pursi ke  liye haazir howa. Makhdum Jahanian Jahangasht Rahmatullah Alayh  ne Sultan ko bataya kay mujhe Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh ne apni zindagi ke  das saal diye hain warna to mera waqt aa pohncha tha. Sultan ne jab yeh baat suni to usay aap ki ziyarat ka shoq howa. Chunancha woh Panipat aaya aur aap ki ziyarat se musharraf howa .

Aik martaba Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh   aik gaon se guzray to dekha kay log apna samaan uthaye hue ja rahay hain. Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh   ne wajah poochi to logon ne bataya kay gaon mein saalah baari ki wajah se fasal kharab ho gayi hai lagaan ada karne se qaasir hain haakim sakht hai. aap ne farmaya is gaon ko hamaray haath farokht kar do aur is ka naam Jalal Abad rakh doo to tumhara lagaan bhi ada ho jaye ga aur tumhe achi khasi raqam bhi bach jaye gi. Woh log raazi ho gaye .

aap ne un logon se loha aur lakri mangwai aur un se kaha kay is lakri ko jalao aur is mein lohay ke  tukre daal doo. Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh ne logon se kaha kay aap log ghar chalay jayen aur subuh aa kar usay dekhen kay kya huwa hai chunancha woh log apne apne gharon ko chalay gaye. aap bhi is raat is gaon se chalay gaye. Subuh ko jab gaon walay aaye to woh yeh dekh kar sakht herat mein mubtala hue kay sara loha sonay mein tabdeel ho chuka tha. Unhon ne lagaan ada kya aur baqi rupiya apne kharch mein laaye. Logon ne phir is gaon ka naam Jalal Abad rakh diya .

Aik din aap darya ke  kinare tashreef  le gaye wahan aik jogi ankhen band kiye betha tha. aap ke  wahan pounchanay par jogi ne ankhen kholeen aur aap ko sang e Paras diya. aap ne is pathar ko darya mein pheink diya jogi khafa howa. aap ne jogi se farmaya kay darya mein jaa kar apna pathar le aaye lekin is ke  ilawa aur koi pathar nah le. Jab jogi darya mein gaya to is ne wahan hazaron is qisam ke  pathar paye. Is ne apne pathar ke ilawa aik aur pathar uthaya aur bahir aa gye. Aap ne is se farmaya kay woh dosra pathar kiyon chhupa kar laya. Is ne dono pathar aap ke  samnay rakh diye aur aap ka mureed howa .

Aik din Hazrat Jalal ud Deen Rahmatullah Alayh   ja rahay thay kay aik zaeef aurat sar par pani ka ghara rakhay jarahi thi. Is ke  paon kanp rahay thay aap ne poocha kya aap ka koi aur aadmi pani nahi laa sakta kehnay lagi mein be kis aur be sahara hon. Hazrat ne pani ka ghara uthaya aur  usay apne kandhay par rakh kar chalne lagey aur is ke  ghar puhanche. Ghara rakh kar farmaya aaj ke  baad inshaallah yeh ghara pani se bhara rahay ga tumhe pani laane ke  liye kahin jane ki zaroorat nahi hogi. Woh zaeef aurat is gharrey se pani istemaal karti rahi magar pani kabhi kam nah howa .

aap sahib e karamat buzurag thay. Jab Hazrat Jamal  ud Deen Hancy Rahmatullah Alayh   ne Hazrat Alau Din Sabir ki sanad chaak kar di aur farma ya tumahray dam maarny ki taab Dehli mein kahan tum to aik dam maartay hi Dehli ko jala kar khaak kar doo ge  jawabun Hazrat Makhdum Alau Din Sabir Rahmatullah Alayh   ne haalat jalal mein farmaya kay aap ne meri sanad khilafat chaak ki hai mein ne aap ka silsila chaak kar diya. Hazrat Jamal  ud Deen Rahmatullah Alayh ka silsila abhi tak band tha lekin aap ki dua se un ka silsila dobarah se jari ho gaya .

Hazrat Jalal ud Deen Mahmood Kabeer ul Aulia Rahmatullah Alayh  wajad o Samaa mein mashgool rehtay thay. aap ki dua kabhi na manzoor nah hoti thi. aap ki zabaan mubarak se jo bhi nikal jata tha wo pura ho jata tha. Umar ke  aakhri hissa mein aap ke  oopar istaghraaq  ka yeh aalam tha kay namaz  ke waqt aap ke  kaan mein teen martaba haq haq kaha jata phir aap hosh mein atay aur namaz ada karte namaz se farigh ho kar aap dobarah phir maraqbe mein chalay jatay .

Aap13 Rabiey al-Awwal765 Hijri ko is daar e fani se rukhsat hue. aap ka mazaar shareef Panipat mein ziyarat gaah khaas o aam  hai .